Top 30 Heart Broken Breakup Shayari in English for Sad Lovers

If you are going through a heartbreaking situation then these breakup shayari can help you to express your pain, So just explore this post and read all English Breakup Shayari and you can also share this shayari on your social media to express your emotion in a poetic way!

Emotional Breakup Shayari in English for Status

Dil tod ke tu muskura raha hai,
Jaise kuch hua hi nahi,
Hum andar se bikhar gaye tere baad,
Aur tujhe ehsaas bhi hua hi nahi!

Emotional Breakup Shayari in English for Status

Mohabbat thi tujhse bepanah,
Par tu samajh na saka,
Main aaj bhi wahi khada hoon,
Jahan tune mujhe chhoda tha!

Teri yaadon ka bojh uthaye phirta hoon,
Har pal tujhe hi sochta rehta hoon,
Tu khush hai kisi aur ke saath,
Aur main tanha hi jeeta rehta hoon.

Breakup Shayari in English

Top Related : Ignore Shayari

Ab na koi shikayat hai tujhse,
Na hi koi umeed baaki hai,
Bas ek dard hai dil mein,
Jo ab meri zindagi ban chuki hai.

Tu mila bhi toh ek sapne ki tarah,
Aur chala gaya bhi hawa ki tarah,
Main aaj bhi wahi khada hoon,
Bas tu badal gaya waqt ki tarah.

Tune pyaar bhi apni sharton pe kiya,
Aur chhod bhi apni marzi se diya,
Hum toh bas tere liye jeete rahe har pal,
Aur tune ek pal mein hi sab khatam kar diya!

Ab mohabbat se darr sa lagta hai,
Har apna bhi paraya sa lagta hai,
Tu kya gaya zindagi se meri,
Har sapna bhi adhura sa lagta hai.

Emotional Breakup Shayari in English for Girls

Tujhe chaha tha dil se,
Yeh meri khata ban gayi,
Tu mila toh sab kuch tha,
Tu gaya toh jeena bhi ek saza ban gayi.

Woh pyar bhi kya pyar tha,
Jo waqt ke saath badal gaya,
Jo kehta tha jaan ho tum meri,
Wahi kisi aur ka ho gaya.

Tu badla ya waqt badal gaya,
Yeh samajh nahi aaya,
Main wahi ka wahi reh gaya,
Bas tu hi paraya ho gaya.

Alone Breakup Shayari in English with Sad Lines

Na tu galat tha, na main,
Bas waqt kharab tha,
Hum dono ne chaha tha ek dusre ko,
Par kismat ka hi hisaab kuch alag tha!

Humne dil diya tha sach mein,
Tumne khel samajh liya,
Hum toot gaye chupke se,
Aur tumne hans ke bhula diya!

Aaj bhi intezar hai tera,
Par ab umeed nahi rahi,
Dil toh ab bhi tera hi hai,
Par dhadkano mein woh baat nahi rahi!

Breakup Shayari Status

Aaj phir tanha baitha hu,
Teri yaadon ke saath,
Tu toh chala gaya door,
Par dard reh gaya mere paas!

Tu badal gaya waqt ke saath,
Aur main wahi reh gaya,
Tu aage badh gaya kisi aur ke saath,
Aur main tere intezaar mein hi reh gaya!

Sad Love Breakup Shayari

Usne kaha bhul ja mujhe,
Jaise yaadein delete ho jaati hain,
Maine bhi muskura ke keh diya,
Kuch log dil se uninstall nahi hote hai!

Sach kahun toh tootna zaroori tha,
Warna hum bhi sach samajh na paate,
Jo chehra apna lagta tha kabhi,
Uske peeche ka jhuth pehchaan na pate!

Heart Breaking Breakup Shayari

Dil todna uska style tha shayad,
Aur jodna meri aadat,
Main har baar khud ko sambhalta raha,
Aur tu har baar badalta raha apni chahat!

Tere waadon ka asar ab dhundla sa ho gaya,
Jo kabhi apna tha woh paraya sa ho gaya,
Humne toh dil se nibhaya thi har ek baat,
Par tera pyaar bas ek afsana sa ho gaya

Heart Broken Shayari for Sad Lover

Main usse bhul jata,
Agar woh yaad na aata,
Par har cheez mein uska ehsaas hai,
Isliye dil aaj bhi usmein hi uljha rehta!

Breakup Shayari Status for Sad Lovers

Kahani khatam ho gayi,
Par ehsaas ab bhi baaki hai,
Woh chala gaya zindagi se,
Par dil mein aaj bhi uski jagah khaali hai!

Uski khamoshi ne sab bata diya,
Jo lafzon se kabhi keh na paaya,
Hum samajh gaye uske badalte ehsaas,
Aur dil ne bina kahe hi alvida keh diya!

Breakup Shayari for Couple

Sach kahu toh mohabbat aaj bhi hai,
Par us insaan se nahi jo badal gaya,
Ab pyaar hai us yaadon se bas,
Jo mere dil mein bas ke reh gaya!

Aaj bhi uska naam sunte hi,
Dil ek pal ke liye ruk jata hai,
Phir muskurane ki koshish karta hoon main,
Par andar se sab kuch bikhar jata hai!

Breakup Shayari English Status

Mohabbat buri nahi thi,
Galat insaan se ho gayi,
Warna kahani toh aaj bhi,
Sabse khoobsurat ho sakti thi!

Usne kaha “tum badal gaye ho”,
Par badla toh woh khud tha,
Main toh aaj bhi wahi khada hoon,
Jahan usne mujhe chhoda tha!

Main use rok sakta tha,
Par pyar zabardasti nahi hota,
Isliye use jaane diya maine,
Aur khud ko tootne diya dheere dheere!

Heart Touching Breakup Shayari in English

Tu gaya toh sirf tu nahi gaya,
Mere andar ka sukoon bhi le gaya,
Main jeeta raha bas aadat ke sahare,
Par tu meri jeene ki wajah bhi le gaya!

Main use chhod nahi paya,
Woh mujhe rok nahi paya,
Yeh kaisa rishta tha humara,
Jo toot ke bhi samajh nahi aaya!

Usne mohabbat ko khel samjha,
Aur main use zindagi bana baitha,
Woh bas waqt guzarne aaya tha,
Aur main use apni taqdeer bana baitha!

Uski yaadon ka bojh lekar,
Main aaj bhi chal raha hoon,
Woh aage badh gaya apni duniya mein,
Aur main wahi purani yaadon mein atak gaya hoon!

Breakup Shayari English

Main usse bhulna nahi chahta,
Par yaad rakhna bhi dard deta hai,
Yeh jo beech ki feeling hai na,
Yahi sabse zyada chot deta hai!

Dil ke shehar mein aag laga kar,
Woh chain se so raha hai,
Jise humne sab kuch maana,
Wo kisi aur ka ho raha hai.

One Sided Love Breakup Shayari in English

Tere bina bhi jee lenge hum,
Yeh khud ko samjha rahe hain,
Par sach toh yeh hai jaana,
Har pal tujhe hi yaad kar rahe hain.

Dil ne use apna maan liya,
Usne kabhi mujhe dekha hi nahi,
Main khud ko usme kho baitha,
Aur woh kabhi mera hua hi nahi.

Woh meri zindagi ka hissa tha,
Par kiya kare kismat ka jo nahi.

One Sided Love Breakup Shayari in English

Uski yaadon mein jeete rahe,
Uske khwabon mein kho gaye,
Woh kabhi humara tha hi nahi,
Aur hum use apna kehta gaya!

Woh pyar bhi kya pyar tha,
Jo pal mein hi badal gaya,
Kal tak tha jo sirf mera,
Aaj kisi aur ka ho gaya.

Woh meri aadat ban gaya tha,
Aur main uski zarurat bhi nahi,
Ek tarfa pyar tha mera,
Jo uske liye kuch bhi nahi.

Kal tak jo meri duniya tha,
Aaj ek yaad ban gaya,
Jise dil se chaha tha maine,
Wahi dil tod kar chala gaya!

Pyar ki kahani chhoti si thi,
Par dard gehra de gaya,
Jis par kiya tha bharosa sabse jyada,
Wahi mera chain le gaya!

Teri yaadon se ab bhi rishta hai,
Par tujhse ab koi vaasta nahi,
Main khud ko samjha leta hoon har roz,
Ke ab tu merio zindagi ka hissa nahi!

Breakup Shayari for One Sided Love

Woh pyar bhi adhura reh gaya,
Jo pura hona tha kabhi,
Kismat ne aisa mod diya,
Ki hum saath ho na sake kabhi.

Kisi aur ke saath khush hai woh,
Aur hum tanha reh gaye,
Jise apna samjha tha kabhi,
Aaj wahi paraye ban gaye.

Dil mein ab bhi tera naam hai,
Par dil pe ab tera haq nahi,
Yaadein toh aaj bhi saath hain,
Par unmein ab tera ehsaas nahi.

Woh rishta bhi kya rishta tha,
Jo nibha na sake hum dono,
Main use chhod na saka,
Aur woh mujhe apna na saka!

Woh chhod gaya bina wajah,
Aur main aaj tak wajah dhoond raha hoon!

Uski yaadein ab bhi saath hain,
Bas un yaadon mein wo ehsaas hai!

Final Thought

I finally hope that these sad breakup shayari help you to express your feeling of sadness and pain of love. Also if you like to read more shayari on life, relationship and sadness then you can visit our latest post okk!

Scroll to Top